Ghalib VS Iqbal VS FARAZ
1.(GHALIB)
Ghalib sharab peene De masjid mein beth kr.
Ya wo jagah bata jahan Khuda nahi.
2.(IQBAL)
Masjid Khuda ka ghar hy peene ki jagah nahi.
Kafir k dil mein ja wahan Khuda nahi.
3.(FARAZ)
Kafir k Dil Se aya hon ye Dekh kr Faraz.
Khuda mojood hy wahan,
usay pata nahi.
Kisi nay jab bhi wafaon ki baatki hu gi ,
Teri nigah mughay dhundti rahi hu gi ,
Taray salike se shikwah nahin khuda ki kasm,
Maray khus main sayed koi kami hu gi….
Mere Lafzon Ki Pehchaan Agar Kar Leta Wo “FARAz”…,
“Usey” Mujh Se Nahi Khud Se Hi Muhabbat Ho Jati …!
Phir chupke se yaad agaya koi
In hasti ankhon ko rula gaya koi
Kya thi unke chehre ki chamak
Is bejaan dil ko PYAR sikha gaya koi.
Agar gham na hoty to ghazal kon kahta,
Us ki khubsorti ko kanwal kon kahta.
Ye to karishma Hai muhabat ka wrna,
Pathar ki dewaro ko Taj-Mehal kon khta.
Hath Mein Leke Mera hath ye wada Krlo
Ab Na Choro Ge Mera sath ye wada Krlo
Tum Na Badlo Ge Badalte Mosam ki Trha
Beetny wali hai Barsat ye wada krlo
Log Halaat Badalte Hi Badal jaty hen
Tum Badlo Ge Riwayat ye Wada Krlo
Tum to waday B Bhula Dety Ho Aksar “Wasi”
Ab Na Bhulo Ge koi Wada ye Wada Krlo…!
Ye wafa ye mohabat tere nam ki,
Hum ne apni chahat tere naam ki.
Sab gham or dard hain hamare liye,
Hum ne tamam umar ke kushian tere naam ki.
Hamari to na manzil hay na rasta apna,
Hum ne phir b apne dil ki dunia tere naam ki.
Hum hain bewafa kabhi sochna b mat,
Hum ne to ek umar ki wafa tere naam ki.
Tum agar yad rakho gay to enayat hogi..
Werna humko bi kahan tumse shikayat hogi..
Zindagi dard k sehra ka unwan shi…
Tum agar bhol bi jao to rewayat hogi…
Kis qadar mujhko satate ho tum,
bhool jane pe bi yaad ate ho tum,
raat k sannatoan mai jab bhi khuda se kuch maanga maine,
mere dil ki dua ban jate ho tum.
Andhera hua dur, raat ke saath
Nayi subha aayi, diwali leke sath
Ab ankheinn kholo, dekho ek msg aaya hai
Diwali ki subh kamna, saath laya hai.
” Happy Diwali”