So Qisse Hein Milte_Julte Ik Majboori Theek Nahi,
Jo Kehna Hai Khul K Keh De Baat Adhoori Theek Nahi,
Koi Heela Koi Bahaana Koi Munasib Raah Nikaal,
Mujh Se Aise Milte Rehna Ghair Zaroori Theek Nahi,
Roz Muhabbat Ho Jaati Hai Chalte Phirte Logon Se,
Geet Adhoore Khuwab Adhoore Ye Mazdoori Theek Nahi,
Ik Shikast K Badle Mujh Ko Sab K Sab Ilzaam Na De,
Kuch_Kuch Teri Baat Hai Sachi Lekin Poori Theek Nahi,
Hum Mehfil Mein Aaye Yoon Wo Peechhe Ja Kar Beth Gaye,
Hum se Doori Achhi Hai Par Itni Doori Theek Nai.
zindagi ka her pal khushion se kam na ho
ap ka her din eid ke din se kam na ho
aisa eid ka din app ko hamesha naseeb ho
Jis main koi dukh koi ghum pass na ho
Eid Mubarak
Aansuo ke girne ki aahat nahi hoti,
Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti,
Agar hota khuda ko ehsaas dard ka,
To use dard dene ki Aadat nahi hoti..
>> Shikwa-e-Ishaq nahi, Jurrat-e-Guftar nahi.
>> Mere Hathon mein koi Jabar ki talwar nahi.
>> Ibn-e-Adam hoon, Insan se Mohabbat ki hy.
>> Aag ka, Chand ka, Pathar ka paristar nahi.
>> Ae Khuda mujh ko meri Ibadat k evaz meri mohabbat de.
>> Mein Teri kisi b Jannat ka khareedar nahi.
>> Jis ne Insan se Mohabbat hi na ki ho ”
>> Dar Haqeeqat wo KHUDA ka b talbgaar nahi.
Ajab Baat Hai Wo Mujh Se Khafa b Raha
Wo Doston Se
Mera Haal
Pochta b Raha
Ajeeb RanG Mein
Ki Usne GoftGu
Mjh Se
Labon se Chup Tha
NiGahon Se Bolta
b Raha.
Mere Sajdo K Tasalsul Ko Tu Kya Janey Aye Mere Dost.
Sir Jhukaya Teri Khushi Mangi.
Hath Uthaya To Teri Zindagi Mangi.
tum agar yaad rakho gay to inayat hogi,
warna hum ko kahan tum se shikayat hogi.
zindagi dard kay sehra ka unwan sahi,
tum agar bhool bhi jao to riwayat hogi.
Medical poem
When you breathe, you respire!
Wah Wah!
When you breathe, you respire!
Wah Wah!
When you don’t breathe, you expire!
Wah Wah, kya baat hai!(what a poem!) :)
chalta tha kabhi haath mera thaam kar jis par,
karta hai bohat yaad wo rasta usay kehna.
umeed wo rakhe na kisi or se Faraz,
har shaks muhabbat nahi karta usay kehna.
kuch panchi jhund me urty hon,
aur rasta bhi kuch mushkil ho
kuch door ufaq pe manzil ho
Ik panchhi ghayal ho jae
or be-dam ho kar gir jae
to rishty-natay, piyary sab
kab uski khaatir rukty hen?
is dunya ki hay reet yahi,
jo saath chalo to saath bohat
jo ruk jao to tanha ho.