Poetry of Meera – Just Tere Liye
Poetry of Meera
Rok tu loon these eyes ko tujhay looknay se,
But iss heart ka what karon jo beat’ta hai just tere liye..!:-D;-)
Poetry of Meera
Rok tu loon these eyes ko tujhay looknay se,
But iss heart ka what karon jo beat’ta hai just tere liye..!:-D;-)
Wo to milta hai mehdood say lamhon mein mujh ko….
Phir bhi dil hai k kitni fursat say sochta hai usko….
Mujh ko tum Rooh main basa lo to acha hai “NAZ”…,
Dil-o-jaan k rishtay aksar toot jaya kartay hain……!
Saleeqa ho agar Bheegi hui AANKHON ko Parrhny ka “FARAZ”
Tou Behty huye AANSU b aksar BAAT krty hain…!!
us ki hansi main chhupy dard ko mehsoos to kar…
Woh to yunhi hans hans ky khud ko saza daita hai
Jis Ne Andaz Dia Mujhy Muskrany Ka
Usy Hi Shoq Hai Ab Mujhy Rulany Ka
Jo Lehron Sy Cheen Kr Mujhy Laya Tha Kinaray Pr
Ab Wohi Muntazir Hai Mery Doob Jany Ka.
Aapko bhool jaun, umar gujarne ki baat hai,
aapko nahi yakin ye aur baat hai ,
jabtak rahegi saans tab tak rahoge yaad,
ye saans tut jaye to aur baat hai.
“Hum sy poochni hai tou Sitaaron ki baat poocho “Faraz”,
“Khawabon ki baat tou woh karty hein jinhein Neend Aati ho”…..
Ek bar kr k aitbar likh do,
Kitna hai mj se pyar likh do,
Kat’ti nahi ye zindgi ab tre bin,
Kitna or karun intizar likh do,
Taras rahay hain bari muddat se,
Iss bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewanay ho jayen jisay parh k hum,
Kuch aisa tum mere yaar likh do,
Ziyada nahi likh saktay to mat likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh do,
Ek baar likho mohabbat hai mujhe tum se,
Phir yehi jumla bar bar likh do
Mat de humen khush rehnay ki duaa “MOHSIN”
HuM khushiyan Rakhtay Nahi Baant diya kartay hain.