Jab hum tanha ho to sath rehna
Jab hum tanha ho to sath rehna,
Roye ankhen to ansoo poch dena,
Q k jab tak zinda hain tab tak he sataengy,
Marny k baad to shayad apko yaad b na aengy.
Jab hum tanha ho to sath rehna,
Roye ankhen to ansoo poch dena,
Q k jab tak zinda hain tab tak he sataengy,
Marny k baad to shayad apko yaad b na aengy.
Wo To Deewana ThaMujhe TANHA Chor Gaya,
Khud Na Ruk Saka Tu Apna SAYA Chor Gaya,
Dukh Nahi Gham is Bat Ka He,
Aankhon Se Kar K WADA Baton Se TOR Gaya.
“Zindgi bhar ki bandgi lelo”
“Meri ulfat ki saadgi lelo”
“Ek pal ki mujhe khushi de ker”
“Mujh se meri zindgi lelo”.
“Apna her dukhmujhe dedo”
“Mere jeevan ki her khushi lelo”
“Chand sansain mera asasa hai”
“Laina chaho to inko bi lelo”
“Meri kismat me kaante rehne do”
“Mere daman ki her kali lelo”
“Main khizaon me zinda reh lon ge”
“Tum baharon kitazgi lelo”
Bus Ek Pal Ki Khushi Mujhe dedo.
Lamha Lamha Tery Wajood Main Basar Hota
Khoob Hota Jo Main Teri Rooh Ka Mehwar Hota
Teri In Jheel Si Ankhon Mein Mera Ghar Hota
Teri Ankhain Jo Daikhti Main Wo Manzar Hota
Kabi Patjhar
Kbhi Rimjhim
Kbhi Sawan
Kbhi Badal
Kbhi Panchi
Kbhi Amber Hota
Teri Umed Ka Hasil
Teri Khahish Ka Sila
Main Tery Ishq,Tery Sabar Ka
Samar Hota…
Kia Khoob Hota Jo Main Teri Rooh Ka Mehvar Hota
“KAASH”
Lamha Lmha Tery Wajood Mein Basar Hota!
Tum jab bi milo tu nazrain utha kar mila karo,
Mujy pasand ha teri ankho may apna-ap dakhna..
DARD HI SAHI MERE ISHQ KA INAAM TO AYA
KHALI HI SAHI HATHON MEIN JAM TO AAYA
MEIN HOON BEWAFA SABKO BETAYA USNE
YUN HI SAHI, USKE LABHON PE MERA NAAM TO AAYA
Ungliyan Toot Gayein Patthar Tarashty Tarashty Faraz,
Aur Jab Bani Surat Yaar Ki To Kharidaar Aa Gaye………!
Rootha Tujh Say To Iss Andaaz Say Roothoon Ga Wasi
Tere Shehar Ki Mitti Bhi Mere Wajod Ko Tarsay Gi…!
Jane Kya soch kar lahre sahil se ,
Takra ke laut jati he ,
Samajh me nahi aata vo kinare se bewafai karti he ,
ya laut kar samundar se wafa nibhati he…
Badli saawan ki koi jab bhi barasti hogi.
Dil hi dil mein woh mujhe yaad to karti hoge.
Theek se so na saki hogi khaualon se mere.
Karvatein raat bhar bistar pe badalti hogi.
Koshishen jitni bhi ki hongi bhulaane ki mujhe.
Yaad utni hi meri aur ubharti hogi.
Dar pe aahat si hui hogi hawa se jab bhi.
Dhadkanen dil ki bahot tez dhadakti hogi.
Khat na aane ka sabab jaan liya hai maine.
Kahin ruswai na ho jaye, wo darti hogi.
Poochti hogi hawaon se mera haal e dil woh.
Uski galiyon se hawa jan bhi guzarti hogi.
Apne seene se laga kar meri tasveer ko woh
Aahen raaton ko mere pyar mein bharti hogi.
Jhooti aane ki khabar paake woh meri”Aamir”
Kabhi sajti to kabhi aur sanwarti hogi.