Kis Qadar anokha hai raabta Mohabbat ka,
Kab na jane ho jae maujza Mohabbat ka,
Apni zaat se b wo ajnabi sa lagta hai,
Jis k sath ho jae haadsa Mohabbat ka,
Wo chala hi jata hai jisne jana hota hai,
Laakh do chahe us ko waasta Mohabbat ka,
Zindagi me jeene ka aasra nahi rehta,
Jab kisi se chhin jae hosla Mohabbat ka,
Doston se nayaab agar tumhe Mohabbat hai,
Doston ko mat dena mashwara Mohabbat ka…!!
Kitney
majboor hain
TaQdeer
K hathon
,,*”jaN”*,,
Na usay paaney ka zarf hai Na usay khoney ka
…..Hosla…..
Mera bas chale to teri adain kharid lu
Apne jiny k wasty teri batain kharid lu
Kr skain jo hr waqt deedar tera
Sab kuch luta kr wo nigahain kharid loon.
apnay halaat ka bhi ehsas nahi mujh ko Faraz,
main ne auron se suna hai, k preshaan hoon main
Hoti “hy” bari zalim yaktarfa mohabbat.. !”
“FARAZ”
Wo yaad to aatay “hain”pr yaad nahi kartay……… !”
Dil k lut jane ka izhaar zruri tu ni,
Ye tmasha sar-e-bazar zruri to ni.
Mujhe tha ishq teri rooh se or ab b hy,
Jism se ho koi srokar zruri to ni.
Na ishq ki jis ko chot lagy wo Dard kisi ka kya janay.
Khud shama ko malom nahi Q jal jatay hain Parwanay. ?’
Mohsin Khushi ki Bheek Main Kis Kis se Maangta…..
Acha Howa K Ghum se Tabiyat Behel Gai…..
Dhal gaya Chaand, gayi Raat chalo so jayen,
Ho chuki yaadon se Mulaqaat chalo so jayen.
Door tak goonj b nahi hai kisi shehnai ki,
Lut gayi Aas ki Baraat chalo so jayen.
Log iqrar-e Wafa kar k bhula dete hein,
Ye nahi koi nayi Baat chalo so jayen.
Jaagte rehne se bhi rukte hein kahin behte Aansoo.?
Umar bhar hogi ye Barsaat chalo so jayen.