jab pas ho
“Jab pas ho”
“tab khas ho”
“Jab door ho”
“ehsas ho”
“Unkahi si koi aas ho”
“Jo na Mitay”
“vo pyaas ho”
“Ab or main kese kahon”
“ap dil k kitne pass ho”.
“Jab pas ho”
“tab khas ho”
“Jab door ho”
“ehsas ho”
“Unkahi si koi aas ho”
“Jo na Mitay”
“vo pyaas ho”
“Ab or main kese kahon”
“ap dil k kitne pass ho”.
Tujh jaesa asman pr ik sitara ni,
Koi phool b tum se pyara ni,
Tum ho husn to mai b hon wafa,
Mera pyar wo samandar hai,
Jis ka koi kinara ni
Kuch is tarah Se Usay Pyar karna Parta hai,
K Apnay Pyar Se B Inkaar karna Parta hai,
Kabhi Kabhi to Wo itna Qareeb Hota hai,
K Apnay Aap ko Dewaar karna Parta hai,
Khuda ne Us ko Atta ki hai wo Maseehai,
K khud ko Jaan K Bemaar karna Parta hai,
Wafa ki Raah main Dushwariyan to Aati Hain,
Wafa ki Raah ko Humwaar karna Parta hai,
Wo Haath Rakh k Meray Dil pe jub B Poochta hai,
To Mujh ko Dard Se Inkaar karna Parta hai.
Kbi na hathon se hath chuty khyal rkhna
Kbi na chaht ka man toty khyal rkhna
Jo ho mohabat to runjisho se gurez krna
Ksi ka nazuk sa dil na toty khyal rkhna.
Do dilon k bich Ye dori na hoti.
Agar mere dost zamane ki mjbori na hoti.
UN se milne ki tamana bohat hai.
Par har Kisi Ki tamana pori nahi hoti.
Yeh sheher agar hai to sunsan sa kiun hai?
Is sheher ka her shaks pareshan sa kiun hai?
Is sheher k log jisay kehtain hain maseeha,
Wo shakhs mery dard se anjan sa kiun hai?
Matti ka bana hai to mil kiun nahi jata?
Patthar ka sanam hai to insan sa kiun hai.
Ik Aisa Shakhs Bhi Hai Meri Zeest Mein Yaro…
Jo Meri Zindagi Hai Aur Main Us Ka Lamha Bhi Nhi… !!
Gila Karen To Kesay Karen Faraz
Wo Bewafa Sahi Magar Intikhaab To Mera Hy
Ansoo ko bohot smjhaya k tnhai main aya ,
karo mehfil main hmara mazak na uraya karo,
Is pr ansoo tarap k bola itnay logon main,
Apki tanha paya is laye chala aya.
Umar-E-Rawaan Guzar Rahi Hai Yaad-E-Khuda Se Ghaafil,
Aey Dil Ab To Sambhal Bhi Ja K Bahut Dair Ho Chuki.