Kuch yadein hain un lamhon ki,
Jin lamhon me hum sath rahe,
Khushyon se bhare jazbat rahe,
Ek waqt guzara ha hmney,
Jahan roty huy b hansty thy,
Kuch khtey thy,
Kuch sunty thy,
Hum rOz subha jb milty thy,
To sab ky chehry khilty thy,
Pur lutf wo manzer hota tha,
Sab mil kar batin krty thy,
Hum socho kitna hansty thy,
Woh goonjh hmare hansne ki,
Ab aik purani yad banni,
Ye batin hain un lamhon ki,
Jin lamhon me hum sath rahy. . . !
Hamara har lamha chura liya aapne,
Aankhon ko ik chand dikha diya aapne.
Hamein zindagi to di kisi aur ne,
Par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
wo mujh se meri mashook ka pata poochta hai faraz,
kitna pagal hai, apney hi ghar ka pata poochta hai.
Sub kuch hai mery pas par dil ki dawa nahi
Door wo mujhsy se hai per main khafa nahi
Maloom hai ab b pyar karta hai mujhy
Wo thora ziddi hai magar bwafa nahi
Aaj phir meri yaadon se us ne ghar sajaya hoga,
Meri tasveer ko diwaar par us ne lagaya hoga,
Na jaane kitni baar rait par likha hoga mera naam,
baar baar kisi leher ne aa kar usay mitaya hoga,
Ay hawa tu aaj us k ghar se meri yaadein samait la,
Kia pata aaj phir un yaadon ne usay rulaaya hoga..
Tanhai bhi hamari aajkal hum par hasti hai,
Jaise koi machhali pani ke liye tarasti hai,
Badalon ki tarah meri ankhen barasti hai,
Bahut samjhaya maine apni saanso ko tham ja,
Par ye bhi ab hume kaanto ki tarah chubti hai…