Badli saawan ki koi jab bhi barasti hogi.
Dil hi dil mein woh mujhe yaad to karti hoge.
Theek se so na saki hogi khaualon se mere.
Karvatein raat bhar bistar pe badalti hogi.
Koshishen jitni bhi ki hongi bhulaane ki mujhe.
Yaad utni hi meri aur ubharti hogi.
Dar pe aahat si hui hogi hawa se jab bhi.
Dhadkanen dil ki bahot tez dhadakti hogi.
Khat na aane ka sabab jaan liya hai maine.
Kahin ruswai na ho jaye, wo darti hogi.
Poochti hogi hawaon se mera haal e dil woh.
Uski galiyon se hawa jan bhi guzarti hogi.
Apne seene se laga kar meri tasveer ko woh
Aahen raaton ko mere pyar mein bharti hogi.
Jhooti aane ki khabar paake woh meri”Aamir”
Kabhi sajti to kabhi aur sanwarti hogi.
tum ko naraz hi rehna hai to koi baat karo
k chup rehney se muhabbat ka guman hota hai
Main issi khayal se tujhay aaj tak dil ki baat na bata saka
K tu Dard-e-Dil se be-khabar hai kahain muskra k na taal de
Meri kahani mera qissa hai TU,
Meri sansen meri dunya hai TU,
Tujhe kaise me bhula doon kaise dil se mita doon,
Meri har ik sans ka hissa hai TU..
Kis Qadar anokha hai raabta Mohabbat ka,
Kab na jane ho jae maujza Mohabbat ka,
Apni zaat se b wo ajnabi sa lagta hai,
Jis k sath ho jae haadsa Mohabbat ka,
Wo chala hi jata hai jisne jana hota hai,
Laakh do chahe us ko waasta Mohabbat ka,
Zindagi me jeene ka aasra nahi rehta,
Jab kisi se chhin jae hosla Mohabbat ka,
Doston se nayaab agar tumhe Mohabbat hai,
Doston ko mat dena mashwara Mohabbat ka…!!
Kitney
majboor hain
TaQdeer
K hathon
,,*”jaN”*,,
Na usay paaney ka zarf hai Na usay khoney ka
…..Hosla…..
Mera bas chale to teri adain kharid lu
Apne jiny k wasty teri batain kharid lu
Kr skain jo hr waqt deedar tera
Sab kuch luta kr wo nigahain kharid loon.
apnay halaat ka bhi ehsas nahi mujh ko Faraz,
main ne auron se suna hai, k preshaan hoon main
Hoti “hy” bari zalim yaktarfa mohabbat.. !”
“FARAZ”
Wo yaad to aatay “hain”pr yaad nahi kartay……… !”
Dil k lut jane ka izhaar zruri tu ni,
Ye tmasha sar-e-bazar zruri to ni.
Mujhe tha ishq teri rooh se or ab b hy,
Jism se ho koi srokar zruri to ni.