Bethay thay teri yaad main tanha ek shaam
Bethay thay teri yaad main tanha ek shaam,
Liya ek kaghaz aur likha tera naam,
Tasvir banai teri aur likha ye pegham,
Zinda pakarnay walay ko 50,000 ka inaam :p
Bethay thay teri yaad main tanha ek shaam,
Liya ek kaghaz aur likha tera naam,
Tasvir banai teri aur likha ye pegham,
Zinda pakarnay walay ko 50,000 ka inaam :p
Nafrt ki Kari Dhoop me Barsat se Pehle
Halat Na thy ase, Mulaqat se Pehle
Ye Barish
Ye Hwa
Ye Dhanak
Ye Mosam
Kis Kis se na Mohabt thi Teri Zaat se pehlay.
Kitab-e-ishq ko Parh kr bhula dia maine,
Na doston se na dushmano se gila kia maine,
Poochi jo ksi ne meri dastaan-e-gham,
Bus 1 chiragh jala k bujha dia maine.
Hum ne socha tha k batayen gay sb dukh dard us ko –
Us ne to itna bhi na pucha k udaas kyun ho.
Sapny hain
Yadain hain or bohat kuch.
Tum ho tumhari
Batain hain or
Bohat kuch..
Nahi chahtay ham
Tum ko bhulana
Magar
Doori hy ek
Majbori hy
Or bohat kuch.
Yeh Ishq-o-Mohabbat,
Mehr-o-Wafa,
sab rasmi rasmi batein hain
Har shaks Ana ki masti mein
bus apni khatir jeeta hai.
jab chalay thay to hum tanha thay Faraz.
phir tum mulay,
gham milay or qafla ban gaya
Bhooley hain rafta rafta unhy muddaton mai hum SAGAR
kiston main khud_kushi ka maza hum se poochiye
Wafa Ke Naam Se Woh Anjaan Tha,
Kisi Ki Bewafai Se Shyad Preshaan Tha,
Hum ne Wafa Deni Chahi To Pata Chala,
Wo Khud Bewafa K Naam Se Badnaam Tha.
>Taskeen na ho jis se wo RAAZ BADAL DALO
Jo Raaz na Rakh paye HAMRAAZ BADAL DALO
>Tum ne b suni hogi Bari Aam kahawat hai
Anjaam ka ho khatra to AGHAZ BADAL DALO
>Pur soz Dilon ko jo Muskan na de paye
Sur hi na mile jis main wo SAAZ BADAL DALO
>Dushman k Iradon ko hai zahir agar krna
Tum khail wohi khelo ANDAZ BADAL DALO
>yaar karo Himmat kuch door Sawera hai
Agar Chahte ho Manzil to PARWAAZ BADAL DALO.