ek din jab wo sham ko aai colege me
me ne us se aankh larai colege me
uper se aa gae us k aba jan
ho gai apni khub dhulai colege me
bandh gae mujh ko zalim khambay se
puch na kese raat bitai colege me
haddi pusli tuti he to JANA phir
mujh ko ulfat raas na aai colege me
kuch din bad wo ghar per aa ker yun boli
kyun nahi aatay faraz bhai colege me
badshahi agar mil jati kuch dino ki faraz,
is shaher main teri tasveer k sikay chala karte
Dil mein hota to kab ka bhula deta Faraz.
Wo shaks to bohat door tak basa hai mujh mein.
Zindgi ek chahat ka silsila hai,
Koi kisi se mil jata hai to koi kisi se bichad jata hai,
Jise hum mangten hai apni dua mein,
Wo kisi ko bina mange mil jata hai.
Bhoolne Ki Qasam Khaa Kar Bhi Main Ne
Tujhe Har Raah Mein Dhoonda Bohat Hai
Yeh Aankhein Aur Kya Dekhein Kisi Ko
In Aankhon Ne Tujhe Dekha Bohat Ha
nahi wo shakhs muqaddar mein,
phir bhi us se milte hain faraz,
bara pur lutf lagta hai,
muqaddar ko saza dena
“Jab pas ho”
“tab khas ho”
“Jab door ho”
“ehsas ho”
“Unkahi si koi aas ho”
“Jo na Mitay”
“vo pyaas ho”
“Ab or main kese kahon”
“apĀ dil k kitne pass ho”.
Tujh jaesa asman pr ik sitara ni,
Koi phool b tum se pyara ni,
Tum ho husn to mai b hon wafa,
Mera pyar wo samandar hai,
Jis ka koi kinara ni
Kuch is tarah Se Usay Pyar karna Parta hai,
K Apnay Pyar Se B Inkaar karna Parta hai,
Kabhi Kabhi to Wo itna Qareeb Hota hai,
K Apnay Aap ko Dewaar karna Parta hai,
Khuda ne Us ko Atta ki hai wo Maseehai,
K khud ko Jaan K Bemaar karna Parta hai,
Wafa ki Raah main Dushwariyan to Aati Hain,
Wafa ki Raah ko Humwaar karna Parta hai,
Wo Haath Rakh k Meray Dil pe jub B Poochta hai,
To Mujh ko Dard Se Inkaar karna Parta hai.
Kbi na hathon se hath chuty khyal rkhna
Kbi na chaht ka man toty khyal rkhna
Jo ho mohabat to runjisho se gurez krna
Ksi ka nazuk sa dil na toty khyal rkhna.